تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
11 اکتوبر 2011
وقت اشاعت: 6:31

Aalo mein chhupa sahet ka raaz

Khanay mein aalo nah hon tou khanay ka maza he nahi aata. aalo chahay ublay huay hon, saalan ka hissa hon ya phir french friez hon is sabzi mein qudrat ne bay panah qouvat aur lazzat rakhi hai.



aluon mein carbohydrates ki waafar miqdaar mojood hoti hai jo unhein qouvat bakhsh aur sahet afzaa banati hai. aalo mein vitamin si aur vitamin b mojood hota hai. vitamin b ki badolat aalo khanay wala say tandrust rehta hai. aalo ka istemaal dil ki bimarion say bachata hai. jo afraad aalo ko apni roz marrah ghiza ka hissa banatay hain in mein depration honay kay imkanaat kayi feesad kam ho jatay hain.



aalo blood pressure ko control mein rakhta hai aur cancer jaisay mozi marz say bhi bachata hai. aalo ka ras tezabiyat aur seenay ki jalan kam karta hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.