تازہ ترین سرخیاں
 سائنس وٹیکنالوجی 
13 جون 2011
وقت اشاعت: 13:41

Chain mein 380 kilometer ki raftaar say chalnay wali mahol dost train

Beijing : Cheen mein 380 kilometer fi ghanta ki raftaar say chalnay wali mahol dost train ne aazmaishi safar shuru kardiya.


Aazmaishi safar kay doran train ko nawway bogian lagai gayi hain. beijing kay janoobi railway station say nikalnay kay saat say aath minute baad he train ne teen so kilometer fi ghanta ki raftaar pakar li. train ki nashistain kushadah aur aaram deh hain. v aai pi class ki nashistain tayyaron kay muqablay mein zyada kushadah aur aaram deh hain. jis par musafir TV say lutf andoz honay kay sath table lamp ki roshni mein mutalea bhi kar saktay hain.


Train mein three jee mobile phone kay zariye woh internet say bhi munsalik reh saktay hain. train baqaida tour par rawan mah kay aakhir mein chalaye jaye gi.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.