5 نومبر 2012
وقت اشاعت: 13:12
Stage aur TV kay Maroof artist sknd sanam cancer say intqaal kargaye
جیو نیوز -
Karachi … stage aur TV kay mashoor artist sikander sanam pair ki sham yahan muqami hospital mein intqaal kargaye, woh guzashta teen mah say jigar aur meday kay cancer mein mubtala thay. unki namaz e janaza pair ko baad namaz esha allah wali masjid choona dipo ranchore line mein ada ki jaye gi, jabkay tadfeen korngi kay qabrustan mein hogi. sikander sanam kay maqbool stage Deramo mein bay beya Moueen Akhtar qabil zikar hai. jis mein unhon ne hakeem ka yadgar kirdaar ada kya tha. uskay ilawa unhon ne Salman Khan ki film tere naam ki parody tere naam ( two ) say ki thi. is film mein video kay zariye bay panah maqboliat haasil ki thi.