تازہ ترین سرخیاں
 دلچسپ خبریں 
15 جون 2011
وقت اشاعت: 8:9

Kheera meda ki jalan, tezabiyat aur alsar say bachata hai, tehqeeq

Tokyo : kheera aik bohat mazedar sabzi hai. usay chahay salad kay saath khayeen ya phir khaali khayeen. kheera khanay say sahet tandrust aur jisam ka nizam e hazm durust rehta hai. Japan mein ki gayi tehqeeq say yeh baat samnay aai hai ke kheeray mein kuch aisay vitamins paye jatay hain jo meda ki jalan, tezabiyat aur alsar say bachata hai.

kheeray mein carbohayidrits, protein aur calcium ka aik khaas tanasub say mojood hota hai, jis ki wajah say meda mein janay wali ghair hazam ghiza aur tezabiyat wali ajza aasani say tahleel ho jatay hain aur alsar say bachao mumkin ho sakta hai. iss kay ilawa mahireen kheeray kay juice mein bhi bay shumaar fawaid batatay hain. nihar moun aik glass kheeray ka juice piinaa na sirf quwwat bakhsh hai balkay iss say jisam farba bhi nahi ho paata.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.