1 جولائی 2011
وقت اشاعت: 20:19
Indonesia : zarrafay ka aik mah ka bacha safari park ki ronaqe
Jakarta : Indonesia kay chirya ghar mein nunhay zarrafay ne sab ki tawajah haasil karli. lambi tangon wala uchhalta kodta nanha ziraafa safari park ki ronaqe mein izafah kar raha hai.
is nunhay zarrafay ka qad no fit hai. usay nigeria say safari park bheja gaya hai. lekin yeh akela nahi balkay is kay saath is ki maan bhi mojood hai, jo baday say pinjray numa ghar mein uskay saath rehti hain. chhabees myi ko paida honay walay zarrafay kay bachay ka wazan aik so pichatar pond hai.