3 جولائی 2011
وقت اشاعت: 8:31
Motapa kise aik ka nahi aalmi masla
Motapa kise aik ka masla nahi aalmi masla ban chuka hai aur duniya ki mukhtalif hakoomaten is say nimatnay ke liye policy saazi mein musrof hain.
aalmi idaara sahet ki report ki ashaat kay baad mukhtalif mumalik ki hukoomaton ne is maslay ko sanjeedgi say lena shuru kar diya hai. report mein kaha gaya tha k duniya mein 1 arab afraad motapay ki bemari ka shikaar hain.
America mein aisay afraad ki tadaad numaya tour par zyada hai jo ya tou farba hain ya phir in ka wazan mamool say zyada hai. mahireen ka kehna hai wazan ki zayad-ti kayi mohlik bimarion maslan sugar aur dil kay amraaz ka sabab ban sakti hai. is maslay say nimatnay ke liye America aur maghribi mumalik mein kaam taizi jari hai.