تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
2 اکتوبر 2011
وقت اشاعت: 4:5

Denmark : hukoomat ne shehrion ko motapay say bachanay ke liye tax laga diya

Denmark mein hukoomat ne shehrion ko motapay say bachanay kay liye tax laga diya, francesi khabar rasan idaray kay mutabiq Denmark duniya ka pehla mulk hai jis ne motapay ka baes ban'nay wali aur chiknai say bharpoor ashya par tax lagaya hai, report kay mutabiq 2.3 fi sad say zayed Saturated Fat par makhan, paneer, doodh, tail, pizza, gosht vdigr ashya par tax laga diya gaya hai. dinsh hakkam kay mutabiq naye tax say awam mein motapay ka baes ban'nay wali ghiza kay istemaal mein kami aaye gi, jabkay doosri janib gharelo sarfeen ki bari tadaad ne tax say bachney ke liye bari tadaad mein makhan, doodh vdigr ashya pehlay he stores say khareed li hain.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.