تازہ ترین سرخیاں
 سائنس وٹیکنالوجی 
21 ستمبر 2011
وقت اشاعت: 18:24

Germany ne baghair driver chalnay wali car ka kamyaab tajriba karliya

Germany ne baghair driver chalnay wali car ka kamyaab tajriba karliya. zaraye ablaagh kay mutabiq german kay dar-al-hakoomat Berlin ki Maroof shahrah par car ki aazmaishi driving baghair driver kay cameron aur computer ki madad say ki gayi ' car kay gear speed aur break ko computer control karta hai.



traffic aur sadak par mojood baqi rakawaten aur signal cameron scanners aur ridar ki madad say control kiye jatay hain ' pichaly 4 saal say car ki aazmaishi driving ghair Maroof shahrahon aur khaali airport par ki ja rahi thi ' is car ko chalanay mein driver ka koi kaam nahi magar phir bhi kise nagehani sorat e haal say nimatnay ke liye driving set par driver driver ka mojood hona zaroori hai. car ko mahol dost technology istemaal karnay ke liye banaya gaya hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.