تازہ ترین سرخیاں
 سائنس وٹیکنالوجی 
28 ستمبر 2011
وقت اشاعت: 9:40

dekhna hai vo mujh par meharabaan kitna hai
asaliyat kaha tak hai or gumaan kitna hai

kya panaah dete hai or ye zameen mujh ko
or abhi mere sar par aasaman kitna hai

kuch khabar nahi aati kis ravish pe hai tuufaan
or phata baqi baadabaan kitna hai

toor phoor karti hain roz khowishain dil me
tang in makaanon se ye makaan kitna hai

harf-e-aarazuu sun kar jhanchne laga yani
is men baat kitni hai or byaan kitna hai

phir udaas kar de gii sarsarati jhalak us ki
bhuul kar ye dil us ko shadaman kitna hai

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.