تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
13 جون 2011
وقت اشاعت: 6:30

Dammey ki mareezon ki mushkil aasan, naya tareeqa ilaaj daryaft

New york : baaz auqaat dammey kay mareez ko itni takleef hoti hai ke iss kay liye do qadam chalna he mushkil ho jata hai. Amrici sarkari idaray food and drug administration ne dammey ka naya tareeqa e ilaaj daryaft kiya hai. jisay bronical thermoplasty ka naam diya gaya hai. jis mein tapish kay zariye mareez ki hawa ki nalion ko bara kya ja sakta hai.

dammey kay mareezon ko umar bhar khansi, saans lainay mein dushwari aur chhaati mein takleef jaisi alamaat ka muqaabla karna parta hai. America mein haliya tehqeeq say yeh zahir howa hai ke nasal, Umar aur jins kay baaz groupon mein damma zyada aam hota hai. jadeed tehqeeq say yeh bhi zahir howa hai ke bachpan mein ghiza war maholiyati anasir say allergy ki shikaayet paida honay walon ko baaligh Umar mein dammey mein mubtala honay ka khadsha zyada hota hai.

doctoron kay mutabiq dammey ka koi ilaaj nahi. aur iss ki alamaat ka muqaabla karnay kay liye bohat kam adwiyaat mojood hain. jin mein unhiler, golian aur teekay shaamil hain. taham bronical thermoplasty say saans ki nalion ko bara karnay say khansi kay doray aur saans ki nalion mein ko kam kiya ja sakta hai.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.