تازہ ترین سرخیاں
 صحت 
25 فروری 2011
وقت اشاعت: 11:21

Mustaqbil ki fasal kay liye maazi kay jeans

Insani khoraak mein izafay kay liye mahireen e nabataat ab poudoun ki qadeem naslon par inhisaar kar rahay hain aur Amrici mohqiqeen ka kehna hai ke woh chawal aur makai jaisi faslun ki qadeem aqsam kay jeans istemaal kar kay mustaqbil kay liye sakht jaan aur bimarion kay khilaaf zyada qotِ e mudafat rakhnay wali faslun ki tayari par kaam kar rahay hain.

Washington mein munaqidah sainsi taraqqi ki Amrici association kay ijlaas mein sainsdano ka kehna hai ke woh aisi faslein ugana chahtay hain ke jo selaab aur qahat ka muqaabla kar sakain aur in kay liye zyada khaad bhi darkaar nah ho.

sainsdano ne daawa kya ke chawal, gandum aur makai ki qadeem aqsam mein aisay jain milay hain jin ki madad say in faslun ki mojooda aqsam ki, bimarion kay khilaaf qotِ e mudafat barhai ja sakti hai.

kayi nasli tabdeelion kay baad dour haazir mein insani khoraak ki faslein, kayi gina pedawari salahiyat rakhti hain. lekin jadeed jeneati taknik ne saabit kar diya hai, ke mehez pedawari salahiyat par tawajah detay huay, insanon ne faslun ki aisi jeneati salahiyaton ko mutasir kar diya, jo dour haazir ki ahem zaroorat hain.

chawal ki qadeem aqsam ka mutalea karnay walay mohqiqeen ko pata chala hai ke qadeem door kay chawal mein bimarion ka muqaabla karnay, aur selaab aur khushk saali jaisi afaat ko bardasht karnay ki salahiyat nisbatan zyada thi. aik muhaqiq, professor aeen graham ka khayaal hai ke qadeem faslun kay jain kay zariye dour haazir ki aqsam ki khususiyaat bahaal ki ja sakti hain.

in kay mutabiq jab hamari aaj kal ki khoraak par nazar daali jaye tou in mein gandum, makai aur soya bain aam hain. dour haazir mein hamaray paas in faslun ka bara mehdood jeneati dhancha hai. lekin agar hum qadeem door ki jungli poudoun kay jain dekhin, tou unn mein bairooni mudakhlat kay baghair he, behtar afzaish ki salahiyat thi. inn puranay jeans ko dour haazir ki faslun ki aqsam kay jeans kay saath mila kar ba-salahiyat faslun ka husool, mustaqbil ka aik bara challenge saabit ho ga '.

sainsdano ki yeh bhi koshish hai ke woh naye aur puranay jeans kay imtezaaj say faslun ki aisi aqsam tayyar karein jinhein kam say kam khaad ki zaroorat parrey, taakay ghareeb kisanon kay akhrajaat kam ho sakain aur mahol ko alouda honay say bhi bachaaya ja sakay.

یہ متن اردو یونی کوڈ میں پڑھیںYe Matan/Text Urdu Unicode Mein Parhein
متن لکھیں اور تلاش کریں
© sweb 2012 - All rights reserved.